Tu ab meri heer nahi
Na main ab tera Ranjha koi
jo ishq tha wo ab bacha nahi
Tute wade,aur kasme sabhi
Tute dil tukde bikhre aise
Aur chubhne lage hain Jaise kanch koi
Nafrat hain ya nahi pata nahi
Hijr ke raate to aayi badi
hum dono ke hissey main
Vasl ki Rahat ka ab anadaja nahi
Tere mere rishtey ki dor ab tut chuki hain
Jazbaato ki nav ab doob chuki hain
Rangin duniyaa teri meri
Ab berang ho chuki hain
Na ab tu Heer rahi meri
Tera Ranjha main ab raha nahi